ek sham ye saffak o bad-andesh jala de
ik shaam ye saffāk o bad-andesh jalā de
shāyad ki mujhe shola-e-dar-pesh jalā de
is dil ko kisī dast-e-adā-sanj meñ rakhnā
mumkin hai ye mīzān-e-kam-o-besh jalā de
kis qaht-e-ḳhor-o-ḳhvāb meñ maiñ mol ke laayā
vo naan ki jo kāsa-e-darvesh jalā de
ruḳhsat ko hai dariyā-e-dil-ārām-e-ravānī
jo kuchh hai safīne ke pas o pesh jalā de
shāyad ki kabhī ḳhāk-e-kam-āmez balā le
aur mujh ko pas-e-lauh-e-kam-andesh jalā de
ek sham ye saffak o bad-andesh jala de
shayad ki mujhe shola-e-dar-pesh jala de
is dil ko kisi dast-e-ada-sanj mein rakhna
mumkin hai ye mizan-e-kam-o-besh jala de
kis qaht-e-KHor-o-KHwab mein main mol ke laya
wo nan ki jo kasa-e-darwesh jala de
ruKHsat ko hai dariya-e-dil-aram-e-rawani
jo kuchh hai safine ke pas o pesh jala de
shayad ki kabhi KHak-e-kam-amez bala le
aur mujh ko pas-e-lauh-e-kam-andesh jala de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.