ek sanp mujhko chum ke tiryaq de gaya
ik saañp mujh ko chuum ke tiryāq de gayā
lekin vo apne saath mirā zahr le gayā
aksar badan kī qaid se āzād ho ke bhī
apnā hī aks duur se maiñ dekhne gayā
duniyā kā har libās pahannā paḌā use
ik shaḳhs jab nikal ke mire jism se gayā
aisī jagah ki maut bhī Dar jaa.e dekh kar
maiñ ḳhud ko zindagī se bahut duur le gayā
mahsūs ho rahā hai ki maiñ ḳhud safar meñ huuñ
jis din se rail par maiñ tujhe chhoḌne gayā
kitnī subuk sī aaj mire ghar kī shaam thī
maiñ filoñ kā bojh uThā.e hue gayā
ash'ār kā nuzūl hai ḳhālī dimāġh meñ
ai 'kaif' tū na jaane kahāñ chhoḌne gayā
ek sanp mujh ko chum ke tiryaq de gaya
lekin wo apne sath mera zahr le gaya
aksar badan ki qaid se aazad ho ke bhi
apna hi aks dur se main dekhne gaya
duniya ka har libas pahanna paDa use
ek shaKHs jab nikal ke mere jism se gaya
aisi jagah ki maut bhi Dar jae dekh kar
main KHud ko zindagi se bahut dur le gaya
mahsus ho raha hai ki main KHud safar mein hun
jis din se rail par main tujhe chhoDne gaya
kitni subuk si aaj mere ghar ki sham thi
main filon ka bojh uThae hue gaya
ash'ar ka nuzul hai KHali dimagh mein
ai 'kaif' tu na jaane kahan chhoDne gaya
- Book : shab khuun (50) (rekhta website) (Pg. 59)
- Edition : 1970
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.