Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

husul-e-maqsad mein aaKHirash yun rahegi qismat daKHil kab tak

Ehtisham ul Haq Siddiqui

husul-e-maqsad mein aaKHirash yun rahegi qismat daKHil kab tak

Ehtisham ul Haq Siddiqui

MORE BYEhtisham ul Haq Siddiqui

    husūl-e-maqsad meñ āḳhirash yuuñ rahegī qismat daḳhīl kab tak

    tum apnī nākāmiyoñ pe doge muqaddaroñ dalīl kab tak

    samundaroñ riyāsatoñ ko luTā ke āvāra phirne vaalo

    ab ek qatre minnatoñ se karoge ḳhud ko zalīl kab tak

    mard-e-momin hai apnī manzil ko āsmānoñ pe dekh nādāñ

    ki rāh-e-zulmat meñ saath degā koī charāġh-e-alīl kab tak

    jalāl-e-rafta ko bhuul bhī zarūrat-e-hāl par nazar kar

    rakhe chūlhe aag ThanDī pa.e-vaqār-e-qabīl kab tak

    darāzi-e-qad se aadmī ko nasīb hotī nahīñ bulandī

    tujhe fareb-e-farāz degī ye kajkulāh-e-tavīl kab tak

    husul-e-maqsad mein aaKHirash yun rahegi qismat daKHil kab tak

    tum apni nakaamiyon pe doge muqaddaron ki dalil kab tak

    samundaron ki riyasaton ko luTa ke aawara phirne walo

    ab ek qatre ki minnaton se karoge KHud ko zalil kab tak

    tu mard-e-momin hai apni manzil ko aasmanon pe dekh nadan

    ki rah-e-zulmat mein sath dega koi charagh-e-alil kab tak

    jalal-e-rafta ko bhul bhi ja zarurat-e-haal par nazar kar

    rakhe ga chulhe ki aag ThanDi pae-waqar-e-qabil kab tak

    daraazi-e-qad se aadmi ko nasib hoti nahin bulandi

    tujhe fareb-e-faraaz degi ye kajkulah-e-tawil kab tak

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now