hota fankar-e-jadid aur na shair hota
hotā fankār-e-jadīd aur na shā'ir hotā
laġhv be-bahr ḳhayālāt kā maz.har hotā
aur baḌh jaatī jo ib.hām kī nudrat mujh meñ
ahd-e-nau ke kisī firqe kā payambar hotā
kuchh to miltā mujhe dushnām-tarāzī hī sahī
ḳhuub hotā jo maiñ dushman ke barābar hotā
kaahe ko dasht meñ chubhne ke liye rah jaatā
phuul hotā kisī gulshan kā gul-e-tar hotā
mujh pe bhī tesha-e-ulfat kī 'ināyat hotī
kaash ke maiñ bhī kisī koh kā patthar hotā
yuuñ tarāshe haiñ sanam kufr ke is duniyā ne
but-shikan hotā jo is daur meñ 'āzar' hotā
khīñch detā maiñ zamāne pe mohabbat ke nuqūsh
mere qabze meñ agar ḳhāma-e-shahpar hotā
apnī ḳhalīq kā mafhūm samajh paatā agar
dā.era hotā jahāñ aur maiñ mehvar hotā
log mujh ko bhī shahīd-e-ġham-e-daurāñ kahte
neza-e-vaqt pe goyā jo mirā sar hotā
dasht kī āb-o-havā ne diyā kāñToñ kā libās
maiñ bahāroñ meñ jo paltā gul-e-ahmar hotā
ḳhuun mazdūr kā miltā jo na ta.amīroñ meñ
na havelī na mahal aur na koī ghar hotā
tishna-lab koī bhī duniyā meñ nahīñ rah paatā
merī āñkhoñ ke jo qabze meñ samundar hotā
hota fankar-e-jadid aur na sha'ir hota
laghw be-bahr KHayalat ka mazhar hota
aur baDh jati jo ibham ki nudrat mujh mein
ahd-e-nau ke kisi firqe ka payambar hota
kuchh to milta mujhe dushnam-taraazi hi sahi
KHub hota jo main dushman ke barabar hota
kahe ko dasht mein chubhne ke liye rah jata
phul hota kisi gulshan ka gul-e-tar hota
mujh pe bhi tesha-e-ulfat ki 'inayat hoti
kash ke main bhi kisi koh ka patthar hota
yun tarashe hain sanam kufr ke is duniya ne
but-shikan hota jo is daur mein 'azar' hota
khinch deta main zamane pe mohabbat ke nuqush
mere qabze mein agar KHama-e-shahpar hota
apni KHaliq ka mafhum samajh pata agar
daera hota jahan aur main mehwar hota
log mujh ko bhi shahid-e-gham-e-dauran kahte
neza-e-waqt pe goya jo mera sar hota
dasht ki aab-o-hawa ne diya kanTon ka libas
main bahaaron mein jo palta gul-e-ahmar hota
KHun mazdur ka milta jo na tamiron mein
na haweli na mahal aur na koi ghar hota
tishna-lab koi bhi duniya mein nahin rah pata
meri aankhon ke jo qabze mein samundar hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.