honTon pe mohr bhi nahin naghmat bhi nahin
hoñToñ pe mohr bhī nahīñ naġhmāt bhī nahīñ
ai mehrbāñ ye shahr-e-tilismāt bhī nahīñ
shahroñ meñ gaam gaam pe lākhoñ gunah sahī
ma.asūm itne aaj ke dehāt bhī nahīñ
vo baiThtā hai shahr ke hotel meñ aaj bhī
mere nasīb meñ koī fōtpath bhī nahīñ
ab zehn meñ bhī qaus-e-quzah phūTtī nahīñ
hāthoñ meñ mere aaj tirā haath bhī nahīñ
vo aa.e bhī to kis tarah Dolī meñ baiTh kar
dūlhā nahīñ huuñ maiñ koī bārāt bhī nahīñ
sarmā kī raat rail kā Dibbā udāsiyāñ
lambā safar hai aur tirā saath bhī nahīñ
honTon pe mohr bhi nahin naghmat bhi nahin
ai mehrban ye shahr-e-tilismat bhi nahin
shahron mein gam gam pe lakhon gunah sahi
masum itne aaj ke dehat bhi nahin
wo baiThta hai shahr ke hotel mein aaj bhi
mere nasib mein koi footpath bhi nahin
ab zehn mein bhi qaus-e-quzah phuTti nahin
hathon mein mere aaj tera hath bhi nahin
wo aae bhi to kis tarah Doli mein baiTh kar
dulha nahin hun main koi baraat bhi nahin
sarma ki raat rail ka Dibba udasiyan
lamba safar hai aur tera sath bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.