hijr-o-visal ke nae manzar bhi aaenge
hijr-o-visāl ke na.e manzar bhī ā.eñge
ābādiyoñ meñ aa.e to phir ghar bhī ā.eñge
āsāñ nahīñ hai utnī talāsh-e-jahān-e-nau
DhūñDoge gar jazīre samundar bhī ā.eñge
ai vaqt Dar hai tere ḳhudāoñ ko bas yahī
be-nañg-o-nām haiñ jo barābar bhī ā.eñge
duniyā isī kā naam hai har samt hī yahāñ
ban kar yaqīñ gumān ke mehvar bhī ā.eñge
ai chashm-e-iltifāt ye fōtpath ye saḌak
haiñ muntazir ki in pe qalandar bhī ā.eñge
maujoñ se laḌne dījiye kuchh der vaqt kī
jin meñ hai hausla vo ubhar kar bhī ā.eñge
haiñ naqsh-e-pā jahāñ jahāñ insāñ ke, dekhnā
qadmoñ meñ aadmī ke vo ambar bhī ā.eñge
māyūs yuuñ na bahr-e-adab ho, tū sabr kar
tujh ko ubuur karne shanāvar bhī ā.eñge
nākām sī rifāqateñ le kar kabhī yahāñ
dasht-e-vafā kī sair ko dilbar bhī ā.eñge
aajiz ho aql dekh ke sannā.ī jin kī vo
husn-e-jahāñ ke nit-na.e paikar bhī ā.eñge
tere liye jo vahm hai un ke liye yaqīñ
aksar yahāñ gumān ke mehvar bhī ā.eñge
badlā huā mizāj hai is baar vaqt kā
lahroñ kī zad meñ ab ke shanāvar bhī ā.eñge
bātoñ se phuul jhaḌte the lekin ḳhabar na thī
ik din laboñ se un ke hī nashtar bhī ā.eñge
Dhāoge tum jo mehvar-e-afkār ko to phir
ye jaan lo ki ġhaib se lashkar bhī ā.eñge
ham vo ḳhudā-tars haiñ faqīrī hai jin kī shaan
yūñhī rahe to dar pe sikandar bhī ā.eñge
kab 'ishq ruk sakā hai masā.ib se vaqt ke
dīvāne ḳhāk-o-ḳhūñ meñ nahā kar bhī ā.eñge
honī hai ḳhatm un kī bhī mohlat yaqīñ rakho
ye vaqt ke ḳhudā tah-e-ḳhanjar bhī ā.eñge
āfāq se pare hai mirā mehvar-e-ḳhayāl
hai hausla to phir na.e shahpar bhī ā.eñge
hijr-o-visal ke nae manzar bhi aaenge
aabaadiyon mein aae to phir ghar bhi aaenge
aasan nahin hai utni talash-e-jahan-e-nau
DhunDoge gar jazire samundar bhi aaenge
ai waqt Dar hai tere KHudaon ko bas yahi
be-nang-o-nam hain jo barabar bhi aaenge
duniya isi ka nam hai har samt hi yahan
ban kar yaqin guman ke mehwar bhi aaenge
ai chashm-e-iltifat ye footpath ye saDak
hain muntazir ki in pe qalandar bhi aaenge
maujon se laDne dijiye kuchh der waqt ki
jin mein hai hausla wo ubhar kar bhi aaenge
hain naqsh-e-pa jahan jahan insan ke, dekhna
qadmon mein aadmi ke wo ambar bhi aaenge
mayus yun na bahr-e-adab ho, tu sabr kar
tujh ko ubur karne shanawar bhi aaenge
nakaam si rifaqaten le kar kabhi yahan
dasht-e-wafa ki sair ko dilbar bhi aaenge
aajiz ho aql dekh ke sannai jin ki wo
husn-e-jahan ke nit-nae paikar bhi aaenge
tere liye jo wahm hai un ke liye yaqin
aksar yahan guman ke mehwar bhi aaenge
badla hua mizaj hai is bar waqt ka
lahron ki zad mein ab ke shanawar bhi aaenge
baaton se phul jhaDte the lekin KHabar na thi
ek din labon se un ke hi nashtar bhi aaenge
Dhaoge tum jo mehwar-e-afkar ko to phir
ye jaan lo ki ghaib se lashkar bhi aaenge
hum wo KHuda-tars hain faqiri hai jin ki shan
yunhi rahe to dar pe sikandar bhi aaenge
kab 'ishq ruk saka hai masaib se waqt ke
diwane KHak-o-KHun mein naha kar bhi aaenge
honi hai KHatm un ki bhi mohlat yaqin rakho
ye waqt ke KHuda tah-e-KHanjar bhi aaenge
aafaq se pare hai mera mehwar-e-KHayal
hai hausla to phir nae shahpar bhi aaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.