hazar tane sunega KHajil nahin hoga
hazār ta.ane sunegā ḳhajil nahīñ hogā
ye vo hujūm hai jo mushta.il nahīñ hogā
zamīñ par aane se pahle hī ilm thā mujh ko
mirā qayām yahāñ mustaqil nahīñ hogā
añdherā pūjne vāloñ ne faisla diyā hai
charāġh ab kisī shab meñ muḳhil nahīñ hogā
tujhe muaaf to kar dūñgā saarī bātoñ par
magar ye zaḳhm kabhī mundamil nahīñ hogā
hazar tane sunega KHajil nahin hoga
ye wo hujum hai jo mushtail nahin hoga
zamin par aane se pahle hi ilm tha mujh ko
mera qayam yahan mustaqil nahin hoga
andhera pujne walon ne faisla diya hai
charagh ab kisi shab mein muKHil nahin hoga
tujhe muaf to kar dunga sari baaton par
magar ye zaKHm kabhi mundamil nahin hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.