hawa ke honT khulen saat-e-kalam to aae
havā ke hoñT khuleñ sā.at-e-kalām to aa.e
ye ret jaisā badan āñdhiyoñ ke kaam to aa.e
munāfiqat kī sabhī tohmateñ mujhe de de
mire tufail rafīqoñ meñ terā naam to aa.e
use udaas na kar de ye merī sust-ravī
maiñ ab ke sust chalūñ vo subuk-ḳhirām to aa.e
ġham-e-hayāt ġham-e-rozgār be-vatanī
sukūn se jo Dhale kaash aisī shaam to aa.e
hawa ke honT khulen saat-e-kalam to aae
ye ret jaisa badan aandhiyon ke kaam to aae
munafiqat ki sabhi tohmaten mujhe de de
mere tufail rafiqon mein tera nam to aae
use udas na kar de ye meri sust-rawi
main ab ke sust chalun wo subuk-KHiram to aae
gham-e-hayat gham-e-rozgar be-watani
sukun se jo Dhale kash aisi sham to aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.