hasrat hai tujhe samne baiThe kabhi dekhun
hasrat hai tujhe sāmne baiThe kabhī dekhūñ
maiñ tujh se muḳhātib huuñ tirā haal bhī pūchhūñ
dil meñ hai mulāqāt kī ḳhvāhish kī dabī aag
mehñdī lage hāthoñ ko chhupā kar kahāñ rakkhūñ
jis naam se tū ne mujhe bachpan se pukārā
ik 'umr guzarne pe bhī vo naam na bhūlūñ
tū ashk hī ban ke mirī āñkhoñ meñ samā jā
maiñ ā.īna dekhūñ to tirā aks bhī dekhūñ
pūchhūñ kabhī ġhunchoñ se sitāroñ se havā se
tujh se hī magar aa ke tirā naam na pūchhūñ
jo shaḳhs ki hai ḳhvāb meñ aane se bhī ḳhā.if
ā.īna-e-dil meñ use maujūd hī dekhūñ
ai merī tamannā ke sitāre tū kahāñ hai
tū aa.e to ye jism shab-e-ġham ko na sauñpūñ
hasrat hai tujhe samne baiThe kabhi dekhun
main tujh se muKHatib hun tera haal bhi puchhun
dil mein hai mulaqat ki KHwahish ki dabi aag
mehndi lage hathon ko chhupa kar kahan rakkhun
jis nam se tu ne mujhe bachpan se pukara
ek 'umr guzarne pe bhi wo nam na bhulun
tu ashk hi ban ke meri aankhon mein sama ja
main aaina dekhun to tera aks bhi dekhun
puchhun kabhi ghunchon se sitaron se hawa se
tujh se hi magar aa ke tera nam na puchhun
jo shaKHs ki hai KHwab mein aane se bhi KHaif
aaina-e-dil mein use maujud hi dekhun
ai meri tamanna ke sitare tu kahan hai
tu aae to ye jism shab-e-gham ko na saunpun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.