hasinon se faqat sahib-salamat dur ki achchhi
hasīnoñ se faqat sāhib-salāmat duur kī achchhī
na un kī dostī achchhī na un kī dushmanī achchhī
zamāna fasl-e-gul kā aur āġhāz-e-shabāb apnā
abhī se tū ne tauba kī bhī ai zāhid kahī achchhī
jafā-dost us ko kahtā hai koī koī vafā-dushman
hamāre saath to us ne nibāhī dostī achchhī
tirī ḳhātir se zāhid ham ne tauba aaj kī varna
ghaḌī bhar ġham ġhalat karne ko bas vo chiiz thī achchhī
ziyāda ai falak de ranj-o-rāhat ham ko jo kuchh de
na do din kā ye ġham achchhā na do din kī ḳhushī achchhī
kabhī jab haath mal kar un se kahtā huuñ ki be-bas huuñ
to vo hañs kar ye kahte haiñ tumhārī bebasī achchhī
jo sach pūchho hasīnoñ kā hayā ne rakh liyā parda
nikal chalte gharoñ se ye to hotī dil-lagī achchhī
ham aa.eñ aap meñ yā-rab vo jis dam aa.eñ bālīñ par
hujūm-e-ranj-e-tanhā.ī se hai ye be-ḳhudī achchhī
mohabbat ke maze se dil nahīñ hai āshnā jis kā
na us kī zindagī achchhī na us kī maut hī achchhī
vo mai-kash huuñ ki de kar duunī qīmat sab kī sab le lī
kisī se jab sunā maiñ ne ki bhaTTī meñ khiñchī achchhī
use duniyā kī sau fikreñ hameñ ik rang-e-nādārī
kahīñ mun.im kī daulat se hamārī muflisī achchhī
ḳhushī ke baa'd ġham kā sāmnā honā qayāmat hai
jo ġham ke baa'd hāsil ho vo albatta ḳhushī achchhī
na chūTegī mohabbat ġhair kī ham se na chūTegī
ajī ye baat tum ne aaj to khul kar kahī achchhī
hamāre dīda-o-dil meñ hazāroñ 'aib nikleñge
tumhārā aa.inā achchhā tumhārī aarsī achchhī
tire is jubba-o-dastār se rindoñ ko kyā matlab
jise jo vaz' ho marġhūb ai zāhid vahī achchhī
kahe sau sher tum ne sust to hāsil 'hafīz' is kā
ġhazal ho chust chhoTī sī to baitoñ kī kamī achchhī
hasinon se faqat sahib-salamat dur ki achchhi
na un ki dosti achchhi na un ki dushmani achchhi
zamana fasl-e-gul ka aur aaghaz-e-shabab apna
abhi se tu ne tauba ki bhi ai zahid kahi achchhi
jafa-dost us ko kahta hai koi koi wafa-dushman
hamare sath to us ne nibahi dosti achchhi
teri KHatir se zahid hum ne tauba aaj ki warna
ghaDi bhar gham ghalat karne ko bas wo chiz thi achchhi
ziyaada ai falak de ranj-o-rahat hum ko jo kuchh de
na do din ka ye gham achchha na do din ki KHushi achchhi
kabhi jab hath mal kar un se kahta hun ki be-bas hun
to wo hans kar ye kahte hain tumhaari bebasi achchhi
jo sach puchho hasinon ka haya ne rakh liya parda
nikal chalte gharon se ye to hoti dil-lagi achchhi
hum aaen aap mein ya-rab wo jis dam aaen baalin par
hujum-e-ranj-e-tanhai se hai ye be-KHudi achchhi
mohabbat ke maze se dil nahin hai aashna jis ka
na us ki zindagi achchhi na us ki maut hi achchhi
wo mai-kash hun ki de kar duni qimat sab ki sab le li
kisi se jab suna main ne ki bhaTTi mein khinchi achchhi
use duniya ki sau fikren hamein ek rang-e-nadari
kahin munim ki daulat se hamari muflisi achchhi
KHushi ke ba'd gham ka samna hona qayamat hai
jo gham ke ba'd hasil ho wo albatta KHushi achchhi
na chuTegi mohabbat ghair ki hum se na chuTegi
aji ye baat tum ne aaj to khul kar kahi achchhi
hamare dida-o-dil mein hazaron 'aib niklenge
tumhaara aaina achchha tumhaari aarsi achchhi
tere is jubba-o-dastar se rindon ko kya matlab
jise jo waz' ho marghub ai zahid wahi achchhi
kahe sau sher tum ne sust to hasil 'hafiz' is ka
ghazal ho chust chhoTi si to baiton ki kami achchhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.