Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har shai lamhe ki mehman hai kya gul kya KHushbu

Manzoor Arif

har shai lamhe ki mehman hai kya gul kya KHushbu

Manzoor Arif

MORE BYManzoor Arif

    har shai lamhe mehmāñ hai kyā gul kyā ḳhushbū

    kyā mai kyā nasha-e-ā.īna kyā ā.īna-rū

    mornī ye ḳhvāhish vajd meñ aa kar nāche mor

    pyaas bujhāne ko de de bas do qatre aañsū

    kyā thā vo lamhoñ rifāqat ho ga.ī ḳhvāb-o-ḳhayāl

    tujh bin saarī umr rahā ḳhālī merā pahlū

    zehnī rishte qalbī naate sab aġhrāz-pasand

    sab lamhoñ ke jādūgar haiñ kyā maiñ aur kyā

    'ārif' kyā tadbīr ho us ko kaise raam karūñ

    maiñ ik ḳhālī haath shikārī vo ik tez aahū

    har shai lamhe ki mehman hai kya gul kya KHushbu

    kya mai kya nasha-e-aina kya aaina-ru

    morni ki ye KHwahish wajd mein aa kar nache mor

    pyas bujhane ko de de bas do qatre aansu

    kya tha wo lamhon ki rifaqat ho gai KHwab-o-KHayal

    tujh bin sari umr raha KHali mera pahlu

    zehni rishte qalbi nate sab aghraaz-pasand

    sab lamhon ke jadugar hain kya main aur kya tu

    'arif' kya tadbir ho us ko kaise ram karun

    main ek KHali hath shikari wo ek tez aahu

    Source :
    • Book : Khayaabaan (Pg. 112)
    • Author : Hassan Abbas Raza
    • Publication : Bazm-e-Khayaabaan-e-adab, Pakistan
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now