har nafas minnat-kash-e-alam hai
har nafas minnat-kash-e-ālām hai
zindagī shāyad isī kā naam hai
ek aañsū aur vo bhī sarf-e-zabt
kyā yahī ummīd kā anjām hai
sarguzasht-e-ishq afsāna nahīñ
zīnat-e-unvān terā naam hai
husn kī tafsīr bhī kuchh kījiye
ishq be-shak ik ḳhayāl-e-ḳhām hai
ishq kī be-tābiyāñ hoshiyār hoñ
ahl-e-dil par zabt kā ilzām hai
har nafas minnat-kash-e-alam hai
zindagi shayad isi ka nam hai
ek aansu aur wo bhi sarf-e-zabt
kya yahi ummid ka anjam hai
sarguzasht-e-ishq afsana nahin
zinat-e-unwan tera nam hai
husn ki tafsir bhi kuchh kijiye
ishq be-shak ek KHayal-e-KHam hai
ishq ki be-tabiyan hoshiyar hon
ahl-e-dil par zabt ka ilzam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.