har koi apne ghar palaT gaya hai
har koī apne ghar palaT gayā hai
mas.ala ḳhair se nimaT gayā hai
kaan mānūs hote jā.eñge
aur lagegā ki shor ghaT gayā hai
vo bhī ḳhāmosh ho gayā maiñ bhī
yuuñ lagā jaise phone kaT gayā hai
ik qadam maiñ ne aage kyā rakhā
do qadam koī pīchhe haT gayā hai
haath āñkhoñ pe rakh ke chalte haiñ
rāsta ab to itnā raT gayā hai
har koi apne ghar palaT gaya hai
masala KHair se nimaT gaya hai
kan manus hote jaenge
aur lagega ki shor ghaT gaya hai
wo bhi KHamosh ho gaya main bhi
yun laga jaise phone kaT gaya hai
ek qadam main ne aage kya rakha
do qadam koi pichhe haT gaya hai
hath aankhon pe rakh ke chalte hain
rasta ab to itna raT gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.