har ek rang dhanak ki misal aisa tha
har ek rang dhanak kī misāl aisā thā
shab-e-visāl tumhārā jamāl aisā thā
havā ke haath pe chhāle haiñ aaj tak maujūd
mire charāġh kī lau meñ kamāl aisā thā
maiñ chal paḌā huuñ añdhere kī uñgliyāñ thāme
utartī shaam ke ruḳh kā jamāl aisā thā
zarā sī der bhī Thahrā nahīñ huuñ maujoñ meñ
samay ke bahr meñ ab ke uchhāl aisā thā
vo sar uThā.e yahāñ se palaT gayā 'ahmad'
maiñ sar jhukā.e khaḌā huuñ savāl aisā thā
har ek rang dhanak ki misal aisa tha
shab-e-visal tumhaara jamal aisa tha
hawa ke hath pe chhaale hain aaj tak maujud
mere charagh ki lau mein kamal aisa tha
main chal paDa hun andhere ki ungliyan thame
utarti sham ke ruKH ka jamal aisa tha
zara si der bhi Thahra nahin hun maujon mein
samay ke bahr mein ab ke uchhaal aisa tha
wo sar uThae yahan se palaT gaya 'ahmad'
main sar jhukae khaDa hun sawal aisa tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.