haq mujhe baatil-ashna na kare
haq mujhe bātil-āshnā na kare
maiñ butoñ se phirūñ ḳhudā na kare
dostī bad balā hai is meñ ḳhudā
kisī dushman ko mubtalā na kare
hai vo maqtūl kāfir-e-nemat
apne qātil ko jo duā na kare
rū mire ko ḳhudā qayāmat tak
pusht-e-pā se tirī judā na kare
nāseho ye bhī kuchh nasīhat hai
ki 'yaqīñ' yaar se vafā na kare
haq mujhe baatil-ashna na kare
main buton se phirun KHuda na kare
dosti bad bala hai is mein KHuda
kisi dushman ko mubtala na kare
hai wo maqtul kafir-e-nemat
apne qatil ko jo dua na kare
ru mere ko KHuda qayamat tak
pusht-e-pa se teri juda na kare
naseho ye bhi kuchh nasihat hai
ki 'yaqin' yar se wafa na kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.