Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hamari sansen mili hain gin ke

Ahsan Yusuf Zai

hamari sansen mili hain gin ke

Ahsan Yusuf Zai

MORE BYAhsan Yusuf Zai

    hamārī sāñseñ milī haiñ gin ke

    na jaane kitne baje haiñ din ke

    tum apnī āñkhoñ dhyān rakhnā

    havā meñ uḌne lage haiñ tinke

    diye ra.ūnat se jal rahe the

    havā ne pūchhe mizāj in ke

    vo raat āñkhoñ meñ kāTte haiñ

    gulāb zaḳhmī hue haiñ jin ke

    girī hai āġhosh-e-rā.egāñ meñ

    tumhāre hāthoñ se raat chhin ke

    hamari sansen mili hain gin ke

    na jaane kitne baje hain din ke

    tum apni aankhon ka dhyan rakhna

    hawa mein uDne lage hain tinke

    diye raunat se jal rahe the

    hawa ne puchhe mizaj in ke

    wo raat aankhon mein kaTte hain

    gulab zaKHmi hue hain jin ke

    giri hai aaghosh-e-raegan mein

    tumhaare hathon se raat chhin ke

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now