Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hamare samne kuchh zikr ghairon ka agar hoga

Aagha Akbarabadi

hamare samne kuchh zikr ghairon ka agar hoga

Aagha Akbarabadi

MORE BYAagha Akbarabadi

    hamāre sāmne kuchh zikr ġhairoñ agar hogā

    bashar haiñ ham bhī sāhab dekhiye nāhaq shar hogā

    na muḌ kar ne dekhā aur na maiñ taḌpā na ḳhanjar

    na dil hovegā terā na merā jigar hogā

    maiñ kuchh majnūñ nahīñ huuñ jo ki sahrā ko chalā jā.ūñ

    tumhāre dar se sar phoḌūñgā saudā bhī agar hogā

    chaman meñ laa.ī hogī to sabā-mashshātgī kar ke

    jo gul se aage lipTā hai kisī bulbul par hogā

    tarī bhī vahī mālik hai jo mālik hai ḳhushkī

    madad-gār apnā har mushkil meñ shāh-e-bahr-o-bar hogā

    tasavvur zulf gar chhoḌ duuñ mizhgāñ khaTkā hai

    jo sar ke dard se fursat milī dard-e-jigar hogā

    tabībo tum abas aa.e maiñ kushta huuñ firañgan

    mirī tadbīr karne ko muqarrar doctor hogā

    kisī ko koste kyuuñ ho duā apne liye māñgo

    tumhārā fā.eda kyā hai jo dushman zarar hogā

    mazā aa.egā dīvānoñ bātoñ meñ parī-zādo

    jo 'āġhā' kisī din dasht-e-majnūñ meñ guzar hogā

    hamare samne kuchh zikr ghairon ka agar hoga

    bashar hain hum bhi sahab dekhiye nahaq ka shar hoga

    na muD kar tu ne dekha aur na main taDpa na KHanjar

    na dil howega tera sa na mera sa jigar hoga

    main kuchh majnun nahin hun jo ki sahra ko chala jaun

    tumhaare dar se sar phoDunga sauda bhi agar hoga

    chaman mein lai hogi to saba-mashshatgi kar ke

    jo gul se aage lipTa hai kisi bulbul ka par hoga

    tari ka bhi wahi malik hai jo malik hai KHushki ka

    madad-gar apna har mushkil mein shah-e-bahr-o-bar hoga

    tasawwur zulf ka gar chhoD dun mizhgan ka khaTka hai

    jo sar ke dard se fursat mili dard-e-jigar hoga

    tabibo tum abas aae main kushta hun firangan ka

    meri tadbir karne ko muqarrar doctor hoga

    kisi ko koste kyun ho dua apne liye mango

    tumhaara faeda kya hai jo dushman ka zarar hoga

    maza aaega diwanon ki baaton mein pari-zado

    jo 'agha' ka kisi din dasht-e-majnun mein guzar hoga

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now