hum un ke dar pe na jate to aur kya karte
ham un ke dar pe na jaate to aur kyā karte
unheñ ḳhudā na banāte to aur kyā karte
baġhair ishq añdhere meñ thī tirī duniyā
charāġh-e-dil na jalāte to aur kyā karte
hameñ to us lab-e-nāzuk ko denī thī zahmat
agar na baat baḌhāte to aur kyā karte
ḳhatā koī nahīñ pīchhā kiye hue duniyā
jo mai-kade meñ na jaate to aur kyā karte
añdherā māñgne aayā thā raushnī kī bhiik
ham apnā ghar na jalāte to aur kyā karte
kisī se baat jo kī hai to vo ḳhafā haiñ 'nazīr'
kisī ko dost banāte to aur kyā karte
hum un ke dar pe na jate to aur kya karte
unhen KHuda na banate to aur kya karte
baghair ishq andhere mein thi teri duniya
charagh-e-dil na jalate to aur kya karte
hamein to us lab-e-nazuk ko deni thi zahmat
agar na baat baDhate to aur kya karte
KHata koi nahin pichha kiye hue duniya
jo mai-kade mein na jate to aur kya karte
andhera mangne aaya tha raushni ki bhik
hum apna ghar na jalate to aur kya karte
kisi se baat jo ki hai to wo KHafa hain 'nazir'
kisi ko dost banate to aur kya karte
- Book : Kulliyat-e-Nazeer Banarasi (Pg. 116)
- Author : Nazeer Banarsi
- Publication : Educational Publishing House (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.