Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum raaton ko uTh uTh ke jin ke liye rote hain

Hasrat Jaipuri

hum raaton ko uTh uTh ke jin ke liye rote hain

Hasrat Jaipuri

MORE BYHasrat Jaipuri

    ham rātoñ ko uTh uTh ke jin ke liye rote haiñ

    vo ġhair bāñhoñ meñ ārām se sote haiñ

    ham ashk judā.ī ke girne nahīñ dete

    bechain palkoñ meñ motī se pirote haiñ

    hotā chalā aayā hai be-dard zamāne meñ

    sachchā.ī rāhoñ meñ kāñTe sabhī bote haiñ

    andāz-e-sitam un dekhe to koī 'hasrat'

    milne ko to milte haiñ nashtar se chubhote haiñ

    hum raaton ko uTh uTh ke jin ke liye rote hain

    wo ghair ki banhon mein aaram se sote hain

    hum ashk judai ke girne hi nahin dete

    bechain si palkon mein moti se pirote hain

    hota chala aaya hai be-dard zamane mein

    sachchai ki rahon mein kanTe sabhi bote hain

    andaz-e-sitam un ka dekhe to koi 'hasrat'

    milne ko to milte hain nashtar se chubhote hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now