hum nae zawiye banate hain
ham na.e zāviye banāte haiñ
aap ke vāste banāte haiñ
terī āñkhoñ se dekhte haiñ log
tere lab zā.iqe banāte haiñ
ā.īye paas baiThiye mere
mil ke kuchh fāsle banāte haiñ
mere patthar tarāshte hue haath
roz jaane kise banāte haiñ
jin ko tahzīb-e-ishq tak nahīñ vo
ishq meñ qā.ede banāte haiñ
hum nae zawiye banate hain
aap ke waste banate hain
teri aankhon se dekhte hain log
tere lab zaiqe banate hain
aaiye pas baiThiye mere
mil ke kuchh fasle banate hain
mere patthar tarashte hue hath
roz jaane kise banate hain
jin ko tahzib-e-ishq tak nahin wo
ishq mein qaede banate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.