hum na urdu mein na hindi mein ghazal kahte hain
ham na urdu meñ na hindī meñ ġhazal kahte haiñ
ham to bas aap kī bolī meñ ġhazal kahte haiñ
vo amīrī meñ ġhazal kahte haiñ kahte hoñge
sachche shā.ir to faqīrī meñ ġhazal kahte haiñ
aise shā.ir bhī ġharībī ne kiye haiñ paidā
leaderoñ kī jo ġhulāmī meñ ġhazal kahte haiñ
kis ko fursat hai jo ab sher kahe aur sune
vahī achchhe haiñ jo jaldī meñ ġhazal kahte haiñ
ab na mastī hai na mastī kā sabab bhī koī
phir bhī hairat hai vo mastī meñ ġhazal kahte haiñ
āñkheñ matl.a haiñ adhar jin ke haiñ husn-e-matl.a
us javānī ko javānī meñ ġhazal kahte haiñ
vo ġhazal kahte haiñ ma.aqūl havā milne par
ek ham haiñ ki jo āñdhī meñ ġhazal kahte haiñ
hum na urdu mein na hindi mein ghazal kahte hain
hum to bas aap ki boli mein ghazal kahte hain
wo amiri mein ghazal kahte hain kahte honge
sachche shair to faqiri mein ghazal kahte hain
aise shair bhi gharibi ne kiye hain paida
leaderon ki jo ghulami mein ghazal kahte hain
kis ko fursat hai jo ab sher kahe aur sune
wahi achchhe hain jo jaldi mein ghazal kahte hain
ab na masti hai na masti ka sabab bhi koi
phir bhi hairat hai wo masti mein ghazal kahte hain
aankhen matla hain adhar jin ke hain husn-e-matla
us jawani ko jawani mein ghazal kahte hain
wo ghazal kahte hain maqul hawa milne par
ek hum hain ki jo aandhi mein ghazal kahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.