hum hain be-dil dil apne pas nahin
hum hain be-dil dil apne pas nahin
Sayyad Mohammad Meer Asar
MORE BYSayyad Mohammad Meer Asar
ham haiñ be-dil dil apne paas nahīñ
aah is kā bhī tujh ko paas nahīñ
bevafā kuchh nahīñ tirī taqsīr
mujh ko merī vafā hī raas nahīñ
qatl merā hai terī bad-nāmī
jaan kā varna kuchh hirās nahīñ
tū hī behtar hai ham se ā.īne
ham to itne bhī rū-shanās nahīñ
yuuñ ḳhudā kī ḳhudā.ī bar-haq hai
par 'asar' kī hameñ to aas nahīñ
hum hain be-dil dil apne pas nahin
aah is ka bhi tujh ko pas nahin
bewafa kuchh nahin teri taqsir
mujh ko meri wafa hi ras nahin
qatl mera hai teri bad-nami
jaan ka warna kuchh hiras nahin
tu hi behtar hai hum se aaine
hum to itne bhi ru-shanas nahin
yun KHuda ki KHudai bar-haq hai
par 'asar' ki hamein to aas nahin
- Book : Roomani Ghazlen (Pg. 27)
- Author : Samina Hijab
- Publication : Maktaba Jamia Limited, New Delhi (1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.