hain jaane-bujhe yar ham, hum sath an-jaani na kar
haiñ jāne-būjhe yaar ham, ham saath an-jānī na kar
dar se hameñ durkār nā jaanī ye nādānī na kar
ik dil thā jo tujh ko diyā hai aur dil jo aur le
ham chāheñ tujh chhuT aur ko ye baat dīvānī na kar
arsh-e-ilāhulālamīñ jā-e-adab hai khol jhaḌ
hai ḳhāna-e-dil ġharq par dekh ashk tuġhyānī na kar
haiñ jhoñpaḌiyāñ ham-sā.e meñ mat aag in ko lag uThe
nichlī tū rah siine meñ Tuk, Tuk aah jaulānī na kar
ham ishq tere haath se kyā kyā na dekhīñ hālateñ
dekh āb-dīda ḳhuuñ na ho ḳhūn-e-jigar paanī na kar
aañsū ke hai dariyā pe aa dil kā safīna tar rahā
ab 'azfarī' mat aah bhar kashtī ye tūfānī na kar
hain jaane-bujhe yar ham, hum sath an-jaani na kar
dar se hamein durkar na jaani ye nadani na kar
ek dil tha jo tujh ko diya hai aur dil jo aur le
hum chahen tujh chhuT aur ko ye baat diwani na kar
arsh-e-ilahulalamin ja-e-adab hai khol jhaD
hai KHana-e-dil gharq par dekh ashk tughyani na kar
hain jhonpaDiyan ham-sae mein mat aag in ko lag uThe
nichli tu rah sine mein Tuk, Tuk aah jaulani na kar
hum ishq tere hath se kya kya na dekhin haalaten
dekh aab-dida KHun na ho KHun-e-jigar pani na kar
aansu ke hai dariya pe aa dil ka safina tar raha
ab 'azfari' mat aah bhar kashti ye tufani na kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.