hai jo bhi jaza saza ata ho
hai jo bhī jazā sazā atā ho
honā hai jo aaj barmalā ho
us din bhī jo sar pe dhuup chamkī
jis din pe bahut farefta ho
us raat bhī niiñd agar na aa.ī
jis raat pe is qadar fidā ho
rañgoñ meñ vahī to rañg niklā
jo terī nazar meñ jach gayā ho
phūloñ meñ vahī to phuul Thahrā
jo tere salām ko khilā ho
ik shaḳhs ḳhudā banā huā hai
kyā ho jo yahī mirā ḳhudā ho
saugand mujhe ġhazal kī 'gauhar'
maiñ ne jo zabāñ se kuchh kahā ho
hai jo bhi jaza saza ata ho
hona hai jo aaj barmala ho
us din bhi jo sar pe dhup chamki
jis din pe bahut farefta ho
us raat bhi nind agar na aai
jis raat pe is qadar fida ho
rangon mein wahi to rang nikla
jo teri nazar mein jach gaya ho
phulon mein wahi to phul Thahra
jo tere salam ko khila ho
ek shaKHs KHuda bana hua hai
kya ho jo yahi mera KHuda ho
saugand mujhe ghazal ki 'gauhar'
main ne jo zaban se kuchh kaha ho
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 290)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23)
- Edition : Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.