hai jab tak dasht-paimai salamat
hai jab tak dasht-paimā.ī salāmat
rahegī ābla-pā.ī salāmat
rahe jab tak ye bīnā.ī salāmat
hamārī ḳhāma-farsā.ī salāmat
bahut sañvareñge sañg o sar ke rishte
junūñ kī kār-farmā.ī salāmat
bahut hairān haiñ ā.īna-ḳhāne
tire qāmat kī zebā.ī salāmat
sabhī hāthoñ meñ le kar sañg aa.e
ḳhirad kī jalva-ārā.ī salāmat
bahut dekhe bahār-āmez manzar
tirī yādoñ kī ra.anā.ī salāmat
hijāb us ne kiyā āsūda-e-ġham
ye andāz-e-masīhā.ī salāmat
hai jab tak dasht-paimai salamat
rahegi aabla-pai salamat
rahe jab tak ye binai salamat
hamari KHama-farsai salamat
bahut sanwarenge sang o sar ke rishte
junun ki kar-farmai salamat
bahut hairan hain aaina-KHane
tere qamat ki zebai salamat
sabhi hathon mein le kar sang aae
KHirad ki jalwa-arai salamat
bahut dekhe bahaar-amez manzar
teri yaadon ki ranai salamat
hijab us ne kiya aasuda-e-gham
ye andaz-e-masihai salamat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.