guhar samjha tha lekin sang nikla
guhar samjhā thā lekin sañg niklā
kisī kā zarf kitnā tañg niklā
jise nisbat rahī qaus-e-quzah se
havāoñ kī tarah be-rañg niklā
ġhazal ke rañg meñ malbūs ho kar
rubāb-e-dard se āhañg niklā
koī bhī Dhañg raas aayā na 'kaifī'
zamāna kis qadar be-Dhañg niklā
guhar samjha tha lekin sang nikla
kisi ka zarf kitna tang nikla
jise nisbat rahi qaus-e-quzah se
hawaon ki tarah be-rang nikla
ghazal ke rang mein malbus ho kar
rubab-e-dard se aahang nikla
koi bhi Dhang ras aaya na 'kaifi'
zamana kis qadar be-Dhang nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.