go qayamat se peshtar na hui
go qayāmat se peshtar na huī
tum na aa.e to kyā sahar na huī
aa ga.ī niiñd sunñe vāloñ ko
dāstāñ ġham kī muḳhtasar na huī
ḳhuun kitne sitam-kashoñ kā huā
aañkh us sañg-dil kī tar na huī
us ne sun kar bhī an-sunī kar dī
maut bhī merī mo'atabar na huī
saath taqdīr ne kabhī na diyā
koī tadbīr kārgar na huī
chain kī justujū rahī din-rāt
zindagī chain se basar na huī
mujh ko miltī na ai 'vafā' manzil
aql qismat se rāhbar na huī
go qayamat se peshtar na hui
tum na aae to kya sahar na hui
aa gai nind sunne walon ko
dastan gham ki muKHtasar na hui
KHun kitne sitam-kashon ka hua
aankh us sang-dil ki tar na hui
us ne sun kar bhi an-suni kar di
maut bhi meri mo'atabar na hui
sath taqdir ne kabhi na diya
koi tadbir kargar na hui
chain ki justuju rahi din-raat
zindagi chain se basar na hui
mujh ko milti na ai 'wafa' manzil
aql qismat se rahbar na hui
- Book : Sang-e-meel (Pg. 116)
- Author : mela Ram ‘vfaa’
- Publication : Darpan Publications (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.