ghuT ghuT kar mar jaana bhi
ghuT ghuT kar mar jaanā bhī
hañsnā aur hañsānā bhī
apne liye hī mushkil hai
izzat se jī paanā bhī
bharnā jaam ko ashkoñ se
phir us ko pī jaanā bhī
paas mire aa jaao to
aa ke phir nā jaanā bhī
jis pe itne sher kahe
us pe ik afsānā bhī
ghuT ghuT kar mar jaana bhi
hansna aur hansana bhi
apne liye hi mushkil hai
izzat se ji pana bhi
bharna jam ko ashkon se
phir us ko pi jaana bhi
pas mere aa jao to
aa ke phir na jaana bhi
jis pe itne sher kahe
us pe ek afsana bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.