garmi jo aai ghar ka hawa-dan khul gaya
garmī jo aa.ī ghar kā havā-dān khul gayā
sāhil pe jab gayā to har insān khul gayā
pahle to long-march ke haq meñ diyā bayān
phir 'qādrī' ko dekh ke 'imrran' khul gayā
ik maulvī kī aañkh meñ bīnā.ī aa ga.ī
jab rail meñ kisī kā garebān khul gayā
tum nāshte kī mez pe baiThī ho is tarah
yuuñ lag rahā hai jaise namak-dān khul gayā
do chaar din se merī samā.at block thī
tum ne ġhazal paḌhī to mirā kaan khul gayā
lauTe vo jab safar se kanīzoñ ne ye kahā
bhāgo janāb-e-shaiḳh kā sāmān khul gayā
mere ḳhutūt paḌh ke vo rotī hai is tarah
lagtā hai 'mīr-anīs' kā dīvān khul gayā
mere ishā.iye kā thā Time ishā ke ba.ad
āġhāz-e-guftugū meñ hī mehmān khul gayā
bazm-e-suḳhan meñ puurī musaddas uñDel kar
had se ziyāda 'ḳhālid'-e-irfān khul gayā
garmi jo aai ghar ka hawa-dan khul gaya
sahil pe jab gaya to har insan khul gaya
pahle to long-march ke haq mein diya bayan
phir 'qadri' ko dekh ke 'imrran' khul gaya
ek maulwi ki aankh mein binai aa gai
jab rail mein kisi ka gareban khul gaya
tum nashte ki mez pe baiThi ho is tarah
yun lag raha hai jaise namak-dan khul gaya
do chaar din se meri samaat block thi
tum ne ghazal paDhi to mera kan khul gaya
lauTe wo jab safar se kanizon ne ye kaha
bhago janab-e-shaiKH ka saman khul gaya
mere KHutut paDh ke wo roti hai is tarah
lagta hai 'mir-anis' ka diwan khul gaya
mere ishaiye ka tha Time isha ke baad
aaghaz-e-guftugu mein hi mehman khul gaya
bazm-e-suKHan mein puri musaddas unDel kar
had se ziyaada 'KHalid'-e-irfan khul gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.