gham se mansub karun dard ka rishta de dun
ġham se mansūb karūñ dard kā rishta de duuñ
zindagī aa tujhe jiine kā salīqa de duuñ
be-charāgī ye tirī shām-e-ġharībāñ kab tak
chal tujhe jalte makānoñ kā ujālā de duuñ
zindagī ab to yahī shakl hai samjhaute kī
duur haT jā.ūñ tirī raah se rastā de duuñ
tishnagī tujh ko bujhānā mujhe manzūr nahīñ
varna qatre kī hai kyā baat maiñ dariyā de duuñ
lī hai añgḌā.ī to phir haath uThā kar rakhiye
Thahariye maiñ use lafzoñ kā labāda de duuñ
ai mire fan tujhe takmīl ko pahuñchānā hai
aa tujhe ḳhuun kā maiñ āḳhirī qatra de duuñ
sūraj aa jaa.e kisī din jo mere haath 'alī'
ghoñT duuñ raat kā dam sab ko ujālā de duuñ
gham se mansub karun dard ka rishta de dun
zindagi aa tujhe jine ka saliqa de dun
be-charagi ye teri sham-e-ghariban kab tak
chal tujhe jalte makanon ka ujala de dun
zindagi ab to yahi shakl hai samjhaute ki
dur haT jaun teri rah se rasta de dun
tishnagi tujh ko bujhana mujhe manzur nahin
warna qatre ki hai kya baat main dariya de dun
li hai angDai to phir hath uTha kar rakhiye
Thahariye main use lafzon ka labaada de dun
ai mere fan tujhe takmil ko pahunchana hai
aa tujhe KHun ka main aaKHiri qatra de dun
suraj aa jae kisi din jo mere hath 'ali'
ghonT dun raat ka dam sab ko ujala de dun
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 239)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.