gali se apni uThata hai wo bahane se
galī se apnī uThātā hai vo bahāne se
maiñ be-ḳhabar rahūñ duniyā ke aane jaane se
kabhī kabhī to ġhanīmat hai yaad rafta kī
biThā na roz lagā ke use sirhāne se
ajiib shaḳhs thā maiñ bhī bhulā nahīñ paayā
kiyā na us ne bhī inkār yaad aane se
uThā rakhī hai kisī ne kamān sūraj kī
girā rahā hai mire raat din nishāne se
koī sabab to hai aisā ki ek umr se haiñ
zamāna mujh se ḳhafā aur maiñ zamāne se
gali se apni uThata hai wo bahane se
main be-KHabar rahun duniya ke aane jaane se
kabhi kabhi to ghanimat hai yaad rafta ki
biTha na roz laga ke use sirhane se
ajib shaKHs tha main bhi bhula nahin paya
kiya na us ne bhi inkar yaad aane se
uTha rakhi hai kisi ne kaman suraj ki
gira raha hai mere raat din nishane se
koi sabab to hai aisa ki ek umr se hain
zamana mujh se KHafa aur main zamane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.