ġhaib se sahra-navardoñ kā mudāvā ho gayā
dāman-e-dasht-e-junūñ zaḳhmoñ kā phāhā ho gayā
maut aa.ī jī ga.e chhuT kar ġham-o-andoh se
ye nayā marnā hai jis kā naam jiinā ho gayā
ḳhud ko bhī dekhā na āñkheñ khol kar misl-e-habāb
bahr-e-hastī meñ faqat dam kā damāma ho gayā
ye zamāna vo nahīñ muñh se nikāle haq koī
yaad kar mansūr par kyā hashr barpā ho gayā
sūrateñ kyā kyā na badlīñ mere soz-e-ishq ne
ashk āñkhoñ meñ banā hoñToñ pe chhālā ho gayā
naaz se chhātī par us ne paañv jis dam rakh diyā
dil huā ThanDā kaleja haath bhar kā ho gayā
ham ne paalā muddatoñ pahlū meñ ham koī nahīñ
tum ne dekhā ik nazar se dil tumhārā ho gayā
kahne ko majzūb ham haiñ dil meñ goyā aur hai
nek-o-bad jo kuchh hamāre muñh se niklā ho gayā
jab se ai 'taslīm' kī hai bai.at-e-dast-e-subū
diin sāġhar ho gayā īmān miinā ho gayā
ghaib se sahra-nawardon ka mudawa ho gaya
daman-e-dasht-e-junun zaKHmon ka phaha ho gaya
maut aai ji gae chhuT kar gham-o-andoh se
ye naya marna hai jis ka nam jina ho gaya
KHud ko bhi dekha na aankhen khol kar misl-e-habab
bahr-e-hasti mein faqat dam ka damama ho gaya
ye zamana wo nahin munh se nikale haq koi
yaad kar mansur par kya hashr barpa ho gaya
suraten kya kya na badlin mere soz-e-ishq ne
ashk aankhon mein bana honTon pe chhaala ho gaya
naz se chhati par us ne panw jis dam rakh diya
dil hua ThanDa kaleja hath bhar ka ho gaya
hum ne pala muddaton pahlu mein hum koi nahin
tum ne dekha ek nazar se dil tumhaara ho gaya
kahne ko majzub hum hain dil mein goya aur hai
nek-o-bad jo kuchh hamare munh se nikla ho gaya
jab se ai 'taslim' ki hai baiat-e-dast-e-subu
din saghar ho gaya iman mina ho gaya
Source :
- Book : Ghazal Usne Chhedi(3) (Pg. 168)
- Author : Farhat Ehsas
-
Publication : Rekhta Books
(2017)
- Edition : 2017
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.