ganw ki aankh se basti ki nazar se dekha
gaañv kī aañkh se bastī kī nazar se dekhā
ek hī rañg hai duniyā ko jidhar se dekhā
ham se ai husn adā kab tirā haq ho paayā
aañkh bhar tujh ko buzurgoñ ke na Dar se dekhā
apnī bāñhoñ kī tarah mujh ko lagīñ sab shāḳheñ
chāñd uljhā huā jis raat shajar se dekhā
ham kisī jañg meñ shāmil na hue bas ham ne
har tamāshe ko faqat rāhguzar se dekhā
har chamakte hue manzar se rahe ham nārāz
saare chehroñ ko sadā dīda-e-tar se dekhā
phuul se bachchoñ ke shānoñ pe the bhārī baste
ham ne schōl ko dushman kī nazar se dekhā
ganw ki aankh se basti ki nazar se dekha
ek hi rang hai duniya ko jidhar se dekha
hum se ai husn ada kab tera haq ho paya
aankh bhar tujh ko buzurgon ke na Dar se dekha
apni banhon ki tarah mujh ko lagin sab shaKHen
chand uljha hua jis raat shajar se dekha
hum kisi jang mein shamil na hue bas hum ne
har tamashe ko faqat rahguzar se dekha
har chamakte hue manzar se rahe hum naraaz
sare chehron ko sada dida-e-tar se dekha
phul se bachchon ke shanon pe the bhaari baste
hum ne school ko dushman ki nazar se dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.