fauj ki aaKHiri saf ho jaun
fauj kī āḳhirī saf ho jā.ūñ
aur phir us kī taraf ho jā.ūñ
tiir koī ho kamāñ koī ho
chāhte haiñ ki hadaf ho jā.ūñ
ik zamāna hai havāoñ kī taraf
maiñ charāġhoñ kī taraf ho jā.ūñ
ashk is aañkh meñ aa.e na kabhī
aur Tapke to sadaf ho jā.ūñ
ahd-e-nau kā na sahī guzrāñ kā
bā.is-e-iz-o-sharaf ho jā.ūñ
fauj ki aaKHiri saf ho jaun
aur phir us ki taraf ho jaun
tir koi ho kaman koi ho
chahte hain ki hadaf ho jaun
ek zamana hai hawaon ki taraf
main charaghon ki taraf ho jaun
ashk is aankh mein aae na kabhi
aur Tapke to sadaf ho jaun
ahd-e-nau ka na sahi guzran ka
bais-e-iz-o-sharaf ho jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.