Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

fasil-e-jaan pe rakkhi thi na baam-o-dar pe rakkhi thi

Nazir Siddiqi

fasil-e-jaan pe rakkhi thi na baam-o-dar pe rakkhi thi

Nazir Siddiqi

MORE BYNazir Siddiqi

    fasīl-e-jāñ pe rakkhī thī na bām-o-dar pe rakkhī thī

    zamāne bhar be-ḳhvābī mire bistar pe rakkhī thī

    ubhar aa.ī thī peshānī pe naqsh-e-mo'tabar ban kar

    purānī fikr ḳhushbū na.e manzar pe rakkhī thī

    nazar uTThī to bas hairat se ham dekhā kiye us ko

    hamārī gum-shuda dastār us ke sar pe rakkhī thī

    usī ko zaḳhm dene par tulā thā sar-phirā sūraj

    mirī taḳh.īl buniyād jis shahpar pe rakkhī thī

    zamīñ par raushnī aatī rahī jaatī rahī lekin

    hamārī ḳhāna-vīrānī bas ik mehvar pe rakkhī thī

    pasīna merī mehnat mire māthe pe raushan thā

    chamak la.al-o-javāhar mirī Thokar pe rakkhī thī

    mire sar par musalsal aag barsātā rahā sūraj

    na jaane kaisī ThanDak merī chashm-e-tar pe rakkhī thī

    mirī gardan jo zīnat ban chukī thī qatl-gāhoñ

    kabhī neze pe rakkhī thī kabhī ḳhanjar pe rakkhī thī

    badal kar pairahan qadmoñ ke nīche aa ga.ī 'nāzir'

    vahī miTTī jo ik din dast-e-kūza-gar pe rakkhī thī

    fasil-e-jaan pe rakkhi thi na baam-o-dar pe rakkhi thi

    zamane bhar ki be-KHwabi mere bistar pe rakkhi thi

    ubhar aai thi peshani pe naqsh-e-mo'tabar ban kar

    purani fikr ki KHushbu nae manzar pe rakkhi thi

    nazar uTThi to bas hairat se hum dekha kiye us ko

    hamari gum-shuda dastar us ke sar pe rakkhi thi

    usi ko zaKHm dene par tula tha sar-phira suraj

    meri taKHil ki buniyaad jis shahpar pe rakkhi thi

    zamin par raushni aati rahi jati rahi lekin

    hamari KHana-virani bas ek mehwar pe rakkhi thi

    pasina meri mehnat ka mere mathe pe raushan tha

    chamak lal-o-jawahar ki meri Thokar pe rakkhi thi

    mere sar par musalsal aag barsata raha suraj

    na jaane kaisi ThanDak meri chashm-e-tar pe rakkhi thi

    meri gardan jo zinat ban chuki thi qatl-gahon ki

    kabhi neze pe rakkhi thi kabhi KHanjar pe rakkhi thi

    badal kar pairahan qadmon ke niche aa gai 'nazir'

    wahi miTTi jo ek din dast-e-kuza-gar pe rakkhi thi

    Source :
    • Book : dasht-e-ehsaas (Pg. 53)
    • Author : naazir siddiqui
    • Publication : educational publishing house (2009)
    • Edition : 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now