ek manzil hai ek jada hai
ek manzil hai ek jaada hai
zindagī merī kitnī saada hai
tū mujhe apnā ek pal degā
ye karam mujh pe kuchh ziyāda hai
jo ruke haiñ savār haiñ saare
chalne vaalā to pā-pyāda hai
sidq-e-dil se pukārnā mujh ko
lauT ā.ūñgā merā va.ada hai
phir jo karne lagā hai tū va.ada
kyā mukarne kā phir irāda hai
zarf-e-duniyā jo tañg hai 'taimūr'
terā dil bhī kahāñ kushāda hai
ek manzil hai ek jada hai
zindagi meri kitni sada hai
tu mujhe apna ek pal dega
ye karam mujh pe kuchh ziyaada hai
jo ruke hain sawar hain sare
chalne wala to pa-pyaada hai
sidq-e-dil se pukarna mujh ko
lauT aaunga mera wada hai
phir jo karne laga hai tu wada
kya mukarne ka phir irada hai
zarf-e-duniya jo tang hai 'taimur'
tera dil bhi kahan kushada hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.