ek insan hun insan ka parastar hun main
ek insān huuñ insāñ kā parastār huuñ maiñ
phir bhī duniyā kī nigāhoñ meñ gunahgār huuñ maiñ
gardish-e-vaqt ne is haal meñ chhoḌā hai mujhe
ab kisī shahr kā luuTā huā bāzār huuñ maiñ
dar pe rahne de mujhe TaaT kā parda hī sahī
tere aslāf kā chhoḌā huā kirdār huuñ maiñ
kitnā mazbūt hai ai dost ta.alluq kā mahal
barf kī chhat hai jo tū ret kī dīvār huuñ maiñ
ḳhūn-bar-dosh huuñ maiñ zañg-rasīda to nahīñ
hai mujhe faḳhr ki TuuTī huī talvār huuñ maiñ
ye jafāoñ kī sazā hai ki tamāshā.ī hai tū
ye vafāoñ kī sazā hai ki pa.e-dār huuñ maiñ
haath phailā to kisī saa.e ne rokā 'hāmid'
us se pūchhā to kahā jazba-e-ḳhud-dār huuñ maiñ
ek insan hun insan ka parastar hun main
phir bhi duniya ki nigahon mein gunahgar hun main
gardish-e-waqt ne is haal mein chhoDa hai mujhe
ab kisi shahr ka luTa hua bazar hun main
dar pe rahne de mujhe TaT ka parda hi sahi
tere aslaf ka chhoDa hua kirdar hun main
kitna mazbut hai ai dost talluq ka mahal
barf ki chhat hai jo tu ret ki diwar hun main
KHun-bar-dosh hun main zang-rasida to nahin
hai mujhe faKHr ki TuTi hui talwar hun main
ye jafaon ki saza hai ki tamashai hai tu
ye wafaon ki saza hai ki pae-dar hun main
hath phaila to kisi sae ne roka 'hamid'
us se puchha to kaha jazba-e-KHud-dar hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.