ek hi jam ko pila saqi
ek hī jaam ko pilā saaqī
adl aur hosh le gayā saaqī
abr hai mujh ko mai pilā saaqī
is havā meñ na jī kuḌhā saaqī
lab-e-dariyā pe chāñdnī dekhūñ
ho agar mujh se āshnā saaqī
sub.h aayā sharāb meñ maḳhmūr
niiñd se uTh ke musmusā saaqī
sab ke ta.iiñ tū ne mai pilā.ī hai
maiñ tarastā hī rah gayā saaqī
qahr hai mai agar na de is vaqt
jhuum aa.ī hai kyā ghaTā saaqī
kyā maze se karūñ chaman kī sair
garche ho abr aur mirā saaqī
dard-e-sar hai ḳhumār se mujh ko
jald le kar sharāb aa saaqī
gar tū 'tābāñ' ko mai pilāvegā
tirā ehsāñ na hogā kyā saaqī
ek hi jam ko pila saqi
adl aur hosh le gaya saqi
abr hai mujh ko mai pila saqi
is hawa mein na ji kuDha saqi
lab-e-dariya pe chandni dekhun
ho agar mujh se aashna saqi
subh aaya sharab mein maKHmur
nind se uTh ke musmusa saqi
sab ke tain tu ne mai pilai hai
main tarasta hi rah gaya saqi
qahr hai mai agar na de is waqt
jhum aai hai kya ghaTa saqi
kya maze se karun chaman ki sair
garche ho abr aur mera saqi
dard-e-sar hai KHumar se mujh ko
jald le kar sharab aa saqi
gar tu 'taban' ko mai pilawega
tera ehsan na hoga kya saqi
- Deewan-e-Taban Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.