Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ehsas-e-husn ban ke nazar mein sama gae

Arsh Malsiyani

ehsas-e-husn ban ke nazar mein sama gae

Arsh Malsiyani

MORE BYArsh Malsiyani

    ehsās-e-husn ban ke nazar meñ samā ga.e

    go laakh duur the vo magar paas aa ga.e

    ik raushnī dil meñ thī vo bhī nahīñ rahī

    vo kyā ga.e charāġh-e-tamannā bujhā ga.e

    dair o haram hai aur to hāsil na kuchh huā

    sajde ġhurūr-e-ishq qīmat ghaTā ga.e

    tanhā-ravī meñ yuuñ to musībat thī har qadam

    ham ahl-e-kārvāñ se to pīchhā chhuḌā ga.e

    kitnā fareb-kār hai ehsās-e-bandagī

    ham manzil-e-ḳhudī se bahut duur aa ga.e

    ulfat meñ fikr-e-zīst nadāmat baat thī

    achchhe rahe jo jaan baazī lagā ga.e

    jo haal un thā vo hamīñ jānte haiñ 'arsh'

    yuuñ vo hamārī baat hañsī meñ uḌā ga.e

    ehsas-e-husn ban ke nazar mein sama gae

    go lakh dur the wo magar pas aa gae

    ek raushni si dil mein thi wo bhi nahin rahi

    wo kya gae charagh-e-tamanna bujha gae

    dair o haram hai aur to hasil na kuchh hua

    sajde ghurur-e-ishq ki qimat ghaTa gae

    tanha-rawi mein yun to musibat thi har qadam

    hum ahl-e-karwan se to pichha chhuDa gae

    kitna fareb-kar hai ehsas-e-bandagi

    hum manzil-e-KHudi se bahut dur aa gae

    ulfat mein fikr-e-zist nadamat ki baat thi

    achchhe rahe jo jaan ki bazi laga gae

    jo haal un ka tha wo hamin jaante hain 'arsh'

    yun wo hamari baat hansi mein uDa gae

    Source :
    • Book : Aazadi ke baad dehli men urdu gazal (Pg. 254)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now