Duba hua uThun dam-e-mahshar sharab mein
Duubā huā uThūñ dam-e-mahshar sharāb meñ
de deñ kafan jo yaar Dubo kar sharāb meñ
maane na maane koī pa itnā kaheñge ham
hai zauq-e-be-ḳhudī to muqarrar sharāb meñ
māneñ jo merī baat murīdān-e-be-riyā
deñ shaiḳh ko kafan to Dubo kar sharāb meñ
kis ke ḳhirām-e-nāz se miltī hai mauj-e-jām
barpā hai ek fitna-e-mahshar sharāb meñ
vo rind-e-bāda-kash huuñ ki 'mā.il' pas-e-fanā
jalve ne tire qahr uThāyā naqāb meñ
Duba hua uThun dam-e-mahshar sharab mein
de den kafan jo yar Dubo kar sharab mein
mane na mane koi pa itna kahenge hum
hai zauq-e-be-KHudi to muqarrar sharab mein
manen jo meri baat muridan-e-be-riya
den shaiKH ko kafan to Dubo kar sharab mein
kis ke KHiram-e-naz se milti hai mauj-e-jam
barpa hai ek fitna-e-mahshar sharab mein
wo rind-e-baada-kash hun ki 'mail' pas-e-fana
jalwe ne tere qahr uThaya naqab mein
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 235)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.