dui ka tazkira tauhid mein paya nahin jata
duī kā tazkira tauhīd meñ paayā nahīñ jaatā
jahāñ merī rasā.ī hai mirā saayā nahīñ jaatā
mire TuuTe hue pā-e-talab kā mujh pe ehsāñ hai
tumhāre dar se uTh kar ab kahīñ jaayā nahīñ jaatā
mohabbat ho to jaatī hai mohabbat kī nahīñ jaatī
ye sho.ala ḳhud bhaḌak uThtā hai bhaḌkāyā nahīñ jaatā
faqīrī meñ bhī mujh ko māñgne se sharm aatī hai
savālī ho ke mujh se haath phailāyā nahīñ jaatā
chaman tum se ibārat hai bahāreñ tum se zinda haiñ
tumhāre sāmne phūloñ se murjhāyā nahīñ jaatā
mohabbat ke liye kuchh ḳhaas dil maḳhsūs hote haiñ
ye vo naġhma hai jo har saaz par gaayā nahīñ jaatā
mohabbat asl meñ 'maḳhmūr' vo rāz-e-haqīqat hai
samajh meñ aa gayā hai phir bhī samjhāyā nahīñ jaatā
dui ka tazkira tauhid mein paya nahin jata
jahan meri rasai hai mera saya nahin jata
mere TuTe hue pa-e-talab ka mujh pe ehsan hai
tumhaare dar se uTh kar ab kahin jaya nahin jata
mohabbat ho to jati hai mohabbat ki nahin jati
ye shoala KHud bhaDak uThta hai bhaDkaya nahin jata
faqiri mein bhi mujh ko mangne se sharm aati hai
sawali ho ke mujh se hath phailaya nahin jata
chaman tum se ibarat hai bahaaren tum se zinda hain
tumhaare samne phulon se murjhaya nahin jata
mohabbat ke liye kuchh KHas dil maKHsus hote hain
ye wo naghma hai jo har saz par gaya nahin jata
mohabbat asl mein 'maKHmur' wo raaz-e-haqiqat hai
samajh mein aa gaya hai phir bhi samjhaya nahin jata
- Book : Aazadi ke baad dehli men urdu gazal (Pg. 327)
- Author : Professor Unwan Chishti
- Publication : Asila Offset Printers, Kalan Mahal, Dariyaganj, New Delhi-6 (1989)
- Edition : 1989
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.