dua ham-zad ho sakti diya hamraaz ho sakta
duā ham-zād ho saktī diyā hamrāz ho saktā
maiñ vīrānī pe itnā to asar-andāz ho saktā
ye merī ḳhāmushī is intihā kī ḳhāmushī hotī
kisī bhī shaam kā maiñ nuqta-e-āġhāz ho saktā
maiñ betābāna un galiyoñ meñ phirtā ye mirā haq thā
mirī dastak pe shahr-e-ḳhvāb kā dar baaz ho saktā
ye din aur raat kis jānib uḌe jaate haiñ sadiyoñ se
kahīñ rukte to maiñ bhī shāmil-e-parvāz ho saktā
kam-az-kam ḳhāk-o-ḳhūñ kī gum-shuda kaḌiyāñ hī mil jātīñ
sar-e-duniyā ye dil itnā to dar-andāz ho saktā
dua ham-zad ho sakti diya hamraaz ho sakta
main virani pe itna to asar-andaz ho sakta
ye meri KHamushi is intiha ki KHamushi hoti
kisi bhi sham ka main nuqta-e-aghaz ho sakta
main betabana un galiyon mein phirta ye mera haq tha
meri dastak pe shahr-e-KHwab ka dar baz ho sakta
ye din aur raat kis jaanib uDe jate hain sadiyon se
kahin rukte to main bhi shamil-e-parwaz ho sakta
kam-az-kam KHak-o-KHun ki gum-shuda kaDiyan hi mil jatin
sar-e-duniya ye dil itna to dar-andaz ho sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.