do chaar gam rah ko hamwar dekhna
do chaar gaam raah ko hamvār dekhnā
phir har qadam pe ik na.ī dīvār dekhnā
āñkhoñ kī raushnī se hai har sañg ā.īna
har aa.ine meñ ḳhud ko gunahgār dekhnā
har aadmī meñ hote haiñ das biis aadmī
jis ko bhī dekhnā ho ka.ī baar dekhnā
maidāñ kī haar jiit to qismat kī baat hai
TuuTī hai kis ke haath meñ talvār dekhnā
dariyā ke is kināre sitāre bhī phuul bhī
dariyā chaḌhā huā ho to us paar dekhnā
achchhī nahīñ hai shahr ke rastoñ se dostī
āñgan meñ phail jaa.e na bāzār dekhnā
do chaar gam rah ko hamwar dekhna
phir har qadam pe ek nai diwar dekhna
aankhon ki raushni se hai har sang aaina
har aaine mein KHud ko gunahgar dekhna
har aadmi mein hote hain das bis aadmi
jis ko bhi dekhna ho kai bar dekhna
maidan ki haar jit to qismat ki baat hai
TuTi hai kis ke hath mein talwar dekhna
dariya ke is kinare sitare bhi phul bhi
dariya chaDha hua ho to us par dekhna
achchhi nahin hai shahr ke raston se dosti
aangan mein phail jae na bazar dekhna
- Book : ida Fazli Ki Chuninda Ghazlen (Pg. 96)
- Author : T.N.Raz
- Publication : Unistar Book Pvt. Ltd ( 2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.