din guzarte rahe sanson mein thakan aati rahi
din guzarte rahe sāñsoñ meñ thakan aatī rahī
dil meñ uḌ uḌ ke vahī gard-e-mehan aatī rahī
thak ga.e arsa-e-ehsās meñ chalte chalte
raah meñ hasrat-e-kotāhī-e-fan aatī rahī
bas darīche se lage baiThe rahe ahl-e-safar
sabza jaltā rahā aur yād-e-vatan aatī rahī
gulshan-e-dahr meñ kuchh bū-e-vafā baaqī hai
ki ḳhizāñ meñ bhī sabā sū-e-chaman aatī rahī
phuul āñkhoñ se guzar kar tah-e-dil meñ bhī khilā
rut bhī badlī to vahī bū-e-saman aatī rahī
ahl-e-duniyā zar-o-gauhar kī tamannā meñ rahe
os paḌtī rahī sūraj kī kiran aatī rahī
ham kabhī chāk-garebāñ the kabhī ḳhāk-basar
kar guzarte rahe jo 'ishq meñ ban aatī rahī
din guzarte rahe sanson mein thakan aati rahi
dil mein uD uD ke wahi gard-e-mehan aati rahi
thak gae arsa-e-ehsas mein chalte chalte
rah mein hasrat-e-kotahi-e-fan aati rahi
bas dariche se lage baiThe rahe ahl-e-safar
sabza jalta raha aur yaad-e-watan aati rahi
gulshan-e-dahr mein kuchh bu-e-wafa baqi hai
ki KHizan mein bhi saba su-e-chaman aati rahi
phul aankhon se guzar kar tah-e-dil mein bhi khila
rut bhi badli to wahi bu-e-saman aati rahi
ahl-e-duniya zar-o-gauhar ki tamanna mein rahe
os paDti rahi suraj ki kiran aati rahi
hum kabhi chaak-gareban the kabhi KHak-basar
kar guzarte rahe jo 'ishq mein ban aati rahi
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 451)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.