dimagh-o-dil ki thakan wala
dimāġh-o-dil kī thakān vaalā
kaḌā safar hai gumān vaalā
yaqīn karne chale to ho par
ye rāstā hai Dhalān vaalā
lagī hai aag apne dasht-e-dil meñ
Darā huā hai machān vaalā
haiñ sāmne vo savāl āñkheñ
mujhe hai Dar imtihān vaalā
zamīñ banāte hue yaqīnan
nashe meñ thā āsmān vaalā
supurdagī aur itnī jaldī
maza to ho khīñch-tān vaalā
adab kī ḳhidmat kā sochtā huuñ
batāo koī dukān vaalā
sabhī hue nā-umīd mujh se
ye vaqt hai itmīnān vaalā
maiñ ik to sardār vo bhī shā.ir
phir us pe urdu zabān vaalā
dimagh-o-dil ki thakan wala
kaDa safar hai guman wala
yaqin karne chale to ho par
ye rasta hai Dhalan wala
lagi hai aag apne dasht-e-dil mein
Dara hua hai machan wala
hain samne wo sawal aankhen
mujhe hai Dar imtihan wala
zamin banate hue yaqinan
nashe mein tha aasman wala
supurdagi aur itni jaldi
maza to ho khinch-tan wala
adab ki KHidmat ka sochta hun
batao koi dukan wala
sabhi hue na-umid mujh se
ye waqt hai itminan wala
main ek to sardar wo bhi shair
phir us pe urdu zaban wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.