dil shahr-e-tahayyur hai ki wo mamlikat-ara
dil shahr-e-tahayyur hai ki vo mamlikat-ārā
kyā saltanat-e-balḳh-o-samarqand-o-buḳhārā
mub.ham hai tirī chashm-e-karam dekh to yuuñ dekh
jis tarah lipaT jaa.e sitāre se sitāra
ik chāñd hai āvāra-o-betāb o falak-tāb
ik chāñd hai āsūdgī-e-hijr kā maarā
kuchh darḳhur-e-jāñ hai to yahī kunj-e-mulāqāt
ye ālam-e-ḳhākī na hamārā na tumhārā
zanjīr-e-girāñ-bār hai ye ishrat-e-sāhil
bahtā hai to ruktā hī nahīñ vaqt kā dhārā
juz hasrat-e-be-nām nahīñ gardish-e-ḳhūñ ab
chāñdī jo hue baal milā zabt kā yaarā
dil shahr-e-tahayyur hai ki wo mamlikat-ara
kya saltanat-e-balKH-o-samarqand-o-buKHara
mubham hai teri chashm-e-karam dekh to yun dekh
jis tarah lipaT jae sitare se sitara
ek chand hai aawara-o-betab o falak-tab
ek chand hai aasudgi-e-hijr ka mara
kuchh darKHur-e-jaan hai to yahi kunj-e-mulaqat
ye aalam-e-KHaki na hamara na tumhaara
zanjir-e-giran-bar hai ye ishrat-e-sahil
bahta hai to rukta hi nahin waqt ka dhaara
juz hasrat-e-be-nam nahin gardish-e-KHun ab
chandi jo hue baal mila zabt ka yara
- Book : Bahar-e-ejaad (Pg. 25)
- Author : Syed Amin Ashraf
- Publication : Urdu Monthly Shabkhoon Rani Mandi Allahabad (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.