dil mein to bahut kuchh hai zaban tak nahin aata
dil meñ to bahut kuchh hai zabāñ tak nahīñ aatā
maiñ jitnā chalūñ phir bhī yahāñ tak nahīñ aatā
logoñ se Dare ho to mire saath chale aao
is rāste meñ koī makāñ tak nahīñ aatā
is zid pe tirā zulm gavārā kiyā ham ne
dekheñ ki tujhe rahm kahāñ tak nahīñ aatā
ek ek sitāra mirī āvāz pe bolā
maiñ itnī bulandī se vahāñ tak nahīñ aatā
aañsū jo baheñ surḳh to ho jaatī haiñ āñkheñ
dil aisā sulagtā hai dhuāñ tak nahīñ aatā
dil mein to bahut kuchh hai zaban tak nahin aata
main jitna chalun phir bhi yahan tak nahin aata
logon se Dare ho to mere sath chale aao
is raste mein koi makan tak nahin aata
is zid pe tera zulm gawara kiya hum ne
dekhen ki tujhe rahm kahan tak nahin aata
ek ek sitara meri aawaz pe bola
main itni bulandi se wahan tak nahin aata
aansu jo bahen surKH to ho jati hain aankhen
dil aisa sulagta hai dhuan tak nahin aata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.