dil ki haalat bayan nahin hoti
dil kī hālat bayāñ nahīñ hotī
ḳhāmushī jab zabāñ nahīñ hotī
harf-e-hasrat hai tum ne kyā samjhā
zindagī dāstāñ nahīñ hotī
kyā muqābil ho husn-e-jānāñ ke
chāñdnī be-karāñ nahīñ hotī
tum jo aao to ho javāñ mahfil
varna kab kahkashāñ nahīñ hotī
husn kī be-ruḳhī adā Thahrī
āshiqī bad-gumāñ nahīñ hotī
be-qarārī kī bas davā tum ho
ye tabīboñ ke haañ nahīñ hotī
jo ye hindostāñ nahīñ hotā
to ye urdu zabāñ nahīñ hotī
kuchh marāsim 'salām' rahne de
dushmanī jāvedāñ nahīñ hotī
dil ki haalat bayan nahin hoti
KHamushi jab zaban nahin hoti
harf-e-hasrat hai tum ne kya samjha
zindagi dastan nahin hoti
kya muqabil ho husn-e-jaanan ke
chandni be-karan nahin hoti
tum jo aao to ho jawan mahfil
warna kab kahkashan nahin hoti
husn ki be-ruKHi ada Thahri
aashiqi bad-guman nahin hoti
be-qarari ki bas dawa tum ho
ye tabibon ke han nahin hoti
jo ye hindostan nahin hota
to ye urdu zaban nahin hoti
kuchh marasim 'salam' rahne de
dushmani jawedan nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.