dil ka sara dard bhara taswiron mein
dil kā saarā dard bharā tasvīroñ meñ
ek musavvir naqsh huā tasvīroñ meñ
chand lakīreñ to is darja gahrī thiiñ
dekhne vaalā Duub gayā tasvīroñ meñ
ek ajab sā jaadū bikhrā rañgoñ kā
sab ko apnā aks dikhā tasvīroñ meñ
ek purāne zaḳhm ke Tāñke TuuT ga.e
ek purānā dard milā tasvīroñ meñ
bhūlī-bisrī yādoñ ke manzar chamke
maazī kā ik baab khulā tasvīroñ meñ
har chehre ke pīchhe sau chehre ubhre
sab kā pardā faash huā tasvīroñ meñ
vaqt kahāñ muTThī meñ aane vaalā thā
lekin ham ne bāñdh liyā tasvīroñ meñ
baat zabāñ par laane kī pābandī thī
ham ne sab kuchh darj kiyā tasvīroñ meñ
dekh sakegā kaun banāne vaale ko
sab kā saarā dhyān lagā tasvīroñ meñ
dil ka sara dard bhara taswiron mein
ek musawwir naqsh hua taswiron mein
chand lakiren to is darja gahri thin
dekhne wala Dub gaya taswiron mein
ek ajab sa jadu bikhra rangon ka
sab ko apna aks dikha taswiron mein
ek purane zaKHm ke Tanke TuT gae
ek purana dard mila taswiron mein
bhuli-bisri yaadon ke manzar chamke
mazi ka ek bab khula taswiron mein
har chehre ke pichhe sau chehre ubhre
sab ka parda fash hua taswiron mein
waqt kahan muTThi mein aane wala tha
lekin hum ne bandh liya taswiron mein
baat zaban par lane ki pabandi thi
hum ne sab kuchh darj kiya taswiron mein
dekh sakega kaun banane wale ko
sab ka sara dhyan laga taswiron mein
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 29)
- Author : Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.