dil daba jata hai kitna aaj gham ke bar se
dil dabā jaatā hai kitnā aaj ġham ke baar se
kaisī tanhā.ī Tapaktī hai dar o dīvār se
manzil-e-iqrār apnī āḳhirī manzil hai ab
ham ki aa.e haiñ guzar kar jāda-e-inkār se
tarjumāñ thā aks apne chehra-e-gum-gashta kā
ik sadā aatī rahī ā.īna-e-asrār se
maand paḌte jā rahe the ḳhvāb-tasvīroñ ke rañg
raat utartī jā rahī thī dard kī dīvār se
maiñ bhī 'akbar' karb-āgīñ jāntā huuñ ziist ko
munsalik hai fikr merī fikr-e-schopenhauer se
dil daba jata hai kitna aaj gham ke bar se
kaisi tanhai Tapakti hai dar o diwar se
manzil-e-iqrar apni aaKHiri manzil hai ab
hum ki aae hain guzar kar jada-e-inkar se
tarjuman tha aks apne chehra-e-gum-gashta ka
ek sada aati rahi aaina-e-asrar se
mand paDte ja rahe the KHwab-taswiron ke rang
raat utarti ja rahi thi dard ki diwar se
main bhi 'akbar' karb-agin jaanta hun zist ko
munsalik hai fikr meri fikr-e-schopenhauer se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.